12 aqwal e zareen Hazrat ali |
naik log unhi ka sath dete hain jo un ke rang ke hon aur kaminey unhi ka sath dete hain jo un ke dhab par hon. fehash bikny walay ke barabar koi be sharam nahi hai .
tandrusti par hs ke siwa haasil nahi ho sakti aur taqwa ko ghalba shehwat ke siwa koi cheez bigaar nahi sakti .
haya jaisi koi sift nahi aur sakhavat jaisi koi fazeelat nahi .
khwahish nafs ko maghloob karne ke barabar koi par hs gari nahi aur khauf ellahi ke barabar koi ilm aur waaqif kaari nahi .
zaalmon ki dosti ka khawastgah nah ho balkay jo log wafadaari aur dosti ke haqooq ki hifazat karen un ke sath dosti peda karo .
sakht dili se barh kar koi khaslat ziyada kamini aur kharab nahi aur shehwat parasti se barh kar koi fitnah azeem aur baais azaab nahi
tumhari fazeelat amal se aur Sharf o karam tumahray Bazal se zahir hota hai .
aurton par –apne boojh nah daalo yani jo kaam khud nah kar satke ho woh un ke sir par nah daalo aur jahan ho sakay aurton se Mustaghni raho kyunkay un ki aadat hai ke woh –apne ahsaan ko baar baar جتلاتی aur shohar ke ahsaan ko bhool jati hain .
apni jaan ko lalach ka ghulam nah bana aur hiras ke asbaab ki itaat nah kar warna un se tujhe شقاوت aur zillat paish aaye gi .
akhirat ke aamaal ke zareya se duniya ko talaash nah kar aur duniya ko akhirat par ikhtiyar nah kar ke yeh munafiqon ki khaslat aur deen se be behra logon ki sift hai .
0 Comments